chashm-e-ana se baada-e-gham pi raha tha wo
chashm-e-anā se bāda-e-ġham pī rahā thā vo
kal raat apne aap meñ Duubā huā thā vo
mujh ko mire vajūd se bāhar jo le gayā
mere hī ruup meñ koī bahrūpiyā thā vo
shor us ko zindagī kā sunā.ī nahīñ diyā
shāyad kisī kī chaah meñ Duubā huā thā vo
mahshar meñ mujh ko pūchh rahā thā har ek se
ma.alūm baad meñ huā merā ḳhudā thā vo
mujh sā hī shaḳhs koī mire aa.ine meñ thā
mujh ko hī dekh dekh ke ghabrā rahā thā vo
'afroz' aayā sāmne yuuñ us ke dil kā chor
tasvīr merī dekh ke sharmā rahā thā vo
chashm-e-ana se baada-e-gham pi raha tha wo
kal raat apne aap mein Duba hua tha wo
mujh ko mere wajud se bahar jo le gaya
mere hi rup mein koi bahrupiya tha wo
shor us ko zindagi ka sunai nahin diya
shayad kisi ki chah mein Duba hua tha wo
mahshar mein mujh ko puchh raha tha har ek se
malum baad mein hua mera KHuda tha wo
mujh sa hi shaKHs koi mere aaine mein tha
mujh ko hi dekh dekh ke ghabra raha tha wo
'afroz' aaya samne yun us ke dil ka chor
taswir meri dekh ke sharma raha tha wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.