chashm-e-baatin ka ye ishaara hai
chashm-e-bātin kā ye ishāra hai
ham meñ kuchh bhī nahīñ hamārā hai
us ke fazl-o-karam se hai duniyā
aur duniyā kā har nazārā hai
kis se lenā hai kis ko hai denā
raqs darvesh kā ishāra hai
yuuñ to ḳhālī hai dāman-e-hastī
phir bhī ummīd par guzārā hai
ḳhvāhishoñ ke fareb meñ aa kar
aadmī ḳhud hī jang haarā hai
ham ne ā.īna-e-taḳhayyul meñ
zindagī ko bahut sañvārā hai
ham kahāñ behtarīn tak pahuñche
sāmne jo hai vo hī pyārā hai
but-parastī meñ ham jo māhir haiñ
falsafa kab hameñ gavāra hai
chashm-e-baatin ka ye ishaara hai
hum mein kuchh bhi nahin hamara hai
us ke fazl-o-karam se hai duniya
aur duniya ka har nazara hai
kis se lena hai kis ko hai dena
raqs darwesh ka ishaara hai
yun to KHali hai daman-e-hasti
phir bhi ummid par guzara hai
KHwahishon ke fareb mein aa kar
aadmi KHud hi jang haara hai
hum ne aaina-e-taKHayyul mein
zindagi ko bahut sanwara hai
hum kahan behtarin tak pahunche
samne jo hai wo hi pyara hai
but-parasti mein hum jo mahir hain
falsafa kab hamein gawara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.