chashm-e-bina aur ehsas-e-haqiqat chahiye
chashm-e-bina aur ehsas-e-haqiqat chahiye
Raj Kumari Suraj Kala Sarwar
MORE BYRaj Kumari Suraj Kala Sarwar
chashm-e-bīnā aur ehsās-e-haqīqat chāhiye
kasrat-e-fitrat meñ vahdat kī aqīdat chāhiye
zabt-e-ehsāsāt kī ainī shahādat chāhiye
har amal meñ tark-e-lazzat kī ri.āyat chāhiye
kasrat-e-fitrat meñ rah kar husn-e-vahdat chāhiye
har ibādat meñ ubūdiyyat kī niyyat chāhiye
jalva-hā-e-nūr ko āġhosh-e-ḳhalvat chāhiye
aur ḳhalvat meñ makīn-e-dil kī jalvat chāhiye
har-nafas āmāda-e-āzār hai charḳh-e-kuhan
phir bhī insāñ ko kabhī ārām-o-rāhat chāhiye
be-sabātī meñ bhī tama.a-e-zīst dāman-gīr hai
har qadam par kuchh na kuchh ījād-o-jiddat chāhiye
koshish-e-mashkūr haiñ apnī junūñ-afzā.iyāñ
maktab-e-vahshat meñ dastār-e-fazīlat chāhiye
hai kaThin qaid-e-badan meñ dīd-e-anvār-e-ḳhafī
inhimāk-e-dil ko zāhir koī sūrat chāhiye
ham ko is be-mā.egī par hī to 'sarvar' naaz hai
bas faqat ahl-e-nazar kī kuchh ināyat chāhiye
chashm-e-bina aur ehsas-e-haqiqat chahiye
kasrat-e-fitrat mein wahdat ki aqidat chahiye
zabt-e-ehsasat ki aini shahadat chahiye
har amal mein tark-e-lazzat ki riayat chahiye
kasrat-e-fitrat mein rah kar husn-e-wahdat chahiye
har ibaadat mein ubudiyyat ki niyyat chahiye
jalwa-ha-e-nur ko aaghosh-e-KHalwat chahiye
aur KHalwat mein makin-e-dil ki jalwat chahiye
har-nafas aamada-e-azar hai charKH-e-kuhan
phir bhi insan ko kabhi aaram-o-rahat chahiye
be-sabaati mein bhi tama-e-zist daman-gir hai
har qadam par kuchh na kuchh ijad-o-jiddat chahiye
koshish-e-mashkur hain apni junun-afzaiyan
maktab-e-wahshat mein dastar-e-fazilat chahiye
hai kaThin qaid-e-badan mein did-e-anwar-e-KHafi
inhimak-e-dil ko zahir koi surat chahiye
hum ko is be-maegi par hi to 'sarwar' naz hai
bas faqat ahl-e-nazar ki kuchh inayat chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.