chashm-e-bina ho to har ja tera jalwa dekhe
chashm-e-bina ho to har ja tera jalwa dekhe
Malika Afaq Zamani Begam
MORE BYMalika Afaq Zamani Begam
chashm-e-bīnā ho to har jā tirā jalva dekhe
qatre qatre meñ nihāñ vus.at-e-dariyā dekhe
jab talak chashm-e-suvaidā meñ na ho tāqat-e-dīd
nahīñ mumkin ki koī jalva tumhārā dekhe
tuur par jaane kī taklīf sahe kyuuñ vo kalīm
jalva-e-yār ko jo dil meñ huvaidā dekhe
hasrat-e-dīd meñ āñkheñ haiñ khulī ba.ad-e-fanā
koī ai kaash mirā aan ke naqshā dekhe
kahīñ hasrat kā muraqqa.a hai kahīñ hirmāñ kā
kahte haiñ aan ke ghar koī tire kyā dekhe
mujh ko marne nahīñ detā hai tasavvur us kā
koī aa kar mire jiine kā sahārā dekhe
saaf ho jā.egī duniyā kī haqīqat raushan
chashm-e-'āfāq' se āfāq kā naqshā dekhe
chashm-e-bina ho to har ja tera jalwa dekhe
qatre qatre mein nihan wusat-e-dariya dekhe
jab talak chashm-e-suwaida mein na ho taqat-e-did
nahin mumkin ki koi jalwa tumhaara dekhe
tur par jaane ki taklif sahe kyun wo kalim
jalwa-e-yar ko jo dil mein huwaida dekhe
hasrat-e-did mein aankhen hain khuli baad-e-fana
koi ai kash mera aan ke naqsha dekhe
kahin hasrat ka muraqqa hai kahin hirman ka
kahte hain aan ke ghar koi tere kya dekhe
mujh ko marne nahin deta hai tasawwur us ka
koi aa kar mere jine ka sahaara dekhe
saf ho jaegi duniya ki haqiqat raushan
chashm-e-'afaq' se aafaq ka naqsha dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.