chashm-e-bina! tere bazar ka mear hain hum
chashm-e-bīnā! tire bāzār kā me.aar haiñ ham
dekh TuuTe hue ḳhvāboñ ke ḳharīdār haiñ ham
kaise tārīḳh farāmosh karegī ham ko
teġh par ḳhuun se likkhā huā inkār haiñ ham
tum jo kahte ho ki baaqī na rahe ahl-e-dil
zaḳhm bechoge chalo becho ḳharīdār haiñ ham
yūñhī lahroñ se kabhī khelne lag jaate haiñ
ek ġharqāb huī naav kī patvār haiñ ham
vo bhī ḳhush hai ki añdhere meñ paḌe rahte haiñ
ham bhī ḳhush haiñ ki ujāle ke taraf-dār haiñ ham
inkisārī ne ajab shaan atā kī ham ko
is qadar ḳham hue lagne lagā talvār haiñ ham
ek muddat se ye manzar nahīñ badlā 'tāriq'
vaqt us paar hai Thahrā huā is paar haiñ ham
chashm-e-bina! tere bazar ka mear hain hum
dekh TuTe hue KHwabon ke KHaridar hain hum
kaise tariKH faramosh karegi hum ko
tegh par KHun se likkha hua inkar hain hum
tum jo kahte ho ki baqi na rahe ahl-e-dil
zaKHm bechoge chalo becho KHaridar hain hum
yunhi lahron se kabhi khelne lag jate hain
ek gharqab hui naw ki patwar hain hum
wo bhi KHush hai ki andhere mein paDe rahte hain
hum bhi KHush hain ki ujale ke taraf-dar hain hum
inkisari ne ajab shan ata ki hum ko
is qadar KHam hue lagne laga talwar hain hum
ek muddat se ye manzar nahin badla 'tariq'
waqt us par hai Thahra hua is par hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.