chashm-e-dil jis ki rah takti hai
chashm-e-dil jis kī raah taktī hai
ab vo bijlī kahāñ chamaktī hai
der lagtī hai jis ko jalne meñ
aag vo der tak dahaktī hai
tujh se milne kī aas kī chiḌiyā
sehn-e-dil meñ bahut chahaktī hai
dil dahaltā hai dūsrī kā bhī
ek dīvār jab daraktī hai
chhupne vaalī nahīñ mirī chāhat
terī āñkhoñ meñ jo chamaktī hai
tishnagī merī jis se hai mansūb
vo surāhī kahāñ chhalaktī hai
jaane kab vo kareñ vafā dil se
roz chashm-e-vafā phaḌaktī hai
jalne vāloñ se koī kyā pūchhe
kyoñ unheñ raushnī khaTaktī hai
aas TuuTī to saath hī 'rāġhib'
saañs kī Dor TuuT saktī hai
chashm-e-dil jis ki rah takti hai
ab wo bijli kahan chamakti hai
der lagti hai jis ko jalne mein
aag wo der tak dahakti hai
tujh se milne ki aas ki chiDiya
sehn-e-dil mein bahut chahakti hai
dil dahalta hai dusri ka bhi
ek diwar jab darakti hai
chhupne wali nahin meri chahat
teri aankhon mein jo chamakti hai
tishnagi meri jis se hai mansub
wo surahi kahan chhalakti hai
jaane kab wo karen wafa dil se
roz chashm-e-wafa phaDakti hai
jalne walon se koi kya puchhe
kyon unhen raushni khaTakti hai
aas TuTi to sath hi 'raghib'
sans ki Dor TuT sakti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.