Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chashm-e-hairan ko tamasha-e-digar par rakkha

Jamal Ehsani

chashm-e-hairan ko tamasha-e-digar par rakkha

Jamal Ehsani

MORE BYJamal Ehsani

    chashm-e-hairāñ ko tamāshā-e-digar par rakkhā

    aur is dil ko tirī ḳhair-ḳhabar par rakkhā

    ain-mumkin hai charāġhoñ ko vo ḳhātir meñ na laa.e

    ghar ghar ham ne uThā rāhguzar par rakkhā

    bojh se jhukne lagī shāḳh to kar ham ne

    āshiyāne ko kisī aur shajar par rakkhā

    chaman-e-dahr meñ is tarah basar ham ne

    sāya-e-gul bhī ehsān na sar par rakkhā

    us āvāz pe bāhar nikal aayā huuñ 'jamāl'

    saarā asbāb-e-safar rah gayā ghar par rakkhā

    chashm-e-hairan ko tamasha-e-digar par rakkha

    aur is dil ko teri KHair-KHabar par rakkha

    ain-mumkin hai charaghon ko wo KHatir mein na lae

    ghar ka ghar hum ne uTha rahguzar par rakkha

    bojh se jhukne lagi shaKH to ja kar hum ne

    aashiyane ko kisi aur shajar par rakkha

    chaman-e-dahr mein is tarah basar ki hum ne

    saya-e-gul ka bhi ehsan na sar par rakkha

    us ki aawaz pe bahar nikal aaya hun 'jamal'

    sara asbab-e-safar rah gaya ghar par rakkha

    Source :
    • Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 105)
    • Author : Jamal Ehsani
    • Publication : Rekhta Publications (2018)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now