chashm-e-jaanan ke hain kis darja ishaaraat wasia
chashm-e-jaanan ke hain kis darja ishaaraat wasia
Malika Afaq Zamani Begam
MORE BYMalika Afaq Zamani Begam
chashm-e-jānāñ ke haiñ kis darja ishārāt vasī.a
har taḳhayyul hai buland us kā har ik baat vasī.a
nahīñ rahtī kabhī raftār-e-zamāna yaksāñ
dahr meñ din hai kabhī aur kabhī raat vasī.a
ḳhvāhish-e-vasl pe farmāyā ki haañ haañ hogā
muḳhtasar lafz haiñ lekin haiñ ishārāt vasī.a
ek hichkī ne kiyā qissa-e-furqat ko tamām
ham samajhte the ki haiñ hijr ke hālāt vasī.a
kyā ta.ajjub jo kifāyat na kare roz-e-hisāb
is qadar haiñ mirī taqdīr kī āfāt vasī.a
hijr kī ek ghaḌī ek baras hotī hai
din ko hai tuul jo furqat meñ to hai raat vasī.a
hālat-e-naza.a meñ vo pūchhte haiñ kyā kahiye
vaqt thoḌā sā hai 'āfāq' shikāyāt vasī.a
chashm-e-jaanan ke hain kis darja ishaaraat wasia
har taKHayyul hai buland us ka har ek baat wasia
nahin rahti kabhi raftar-e-zamana yaksan
dahr mein din hai kabhi aur kabhi raat wasia
KHwahish-e-wasl pe farmaya ki han han hoga
muKHtasar lafz hain lekin hain ishaaraat wasia
ek hichki ne kiya qissa-e-furqat ko tamam
hum samajhte the ki hain hijr ke haalat wasia
kya tajjub jo kifayat na kare roz-e-hisab
is qadar hain meri taqdir ki aafat wasia
hijr ki ek ghaDi ek baras hoti hai
din ko hai tul jo furqat mein to hai raat wasia
haalat-e-naza mein wo puchhte hain kya kahiye
waqt thoDa sa hai 'afaq' shikayat wasia
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.