Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chashm-e-KHunbar sa barse na kabhu pani ek

Munawar Khan Ghafil

chashm-e-KHunbar sa barse na kabhu pani ek

Munawar Khan Ghafil

MORE BYMunawar Khan Ghafil

    chashm-e-ḳhūñbār barse na kabhū paanī ek

    abr har chand kare apnā lahū paanī ek

    shust-o-shū nāma-e-a.amāl jis se ho.e

    baras ai abr-e-karam mujh pe vo paanī ek

    laakh paanī se maiñ dhoyā na chhuTā zaḳhm ḳhuun

    kaam aayā na mire vaqt-e-rafū paanī ek

    aaj tak ashk mirī aañkh se girte haiñ safed

    zarf meñ apne ye rakhtā hai subū paanī ek

    tā-kamar abr-e-mizha apnā to barsā sau baar

    na huā mauj-zanāñ ta-ba-gulū paanī ek

    ham tirī chaal se dil kyūñki na hāreñ is ai charḳh

    baazī dushvār hai tujh se to adū paanī ek

    bāzī-e-murġh meñ bhī haar rahī 'ġhāfil'

    tujh se jiitā na vo ai arbada-jū paanī ek

    chashm-e-KHunbar sa barse na kabhu pani ek

    abr har chand kare apna lahu pani ek

    shust-o-shu nama-e-amal ki jis se hoe

    baras ai abr-e-karam mujh pe wo tu pani ek

    lakh pani se main dhoya na chhuTa zaKHm ka KHun

    kaam aaya na mere waqt-e-rafu pani ek

    aaj tak ashk meri aankh se girte hain safed

    zarf mein apne ye rakhta hai subu pani ek

    ta-kamar abr-e-mizha apna to barsa sau bar

    na hua mauj-zanan ta-ba-gulu pani ek

    hum teri chaal se dil kyunki na haaren is ai charKH

    bazi dushwar hai tujh se to adu pani ek

    bazi-e-murgh mein bhi haar rahi 'ghafil' ki

    tujh se jita na wo ai arbada-ju pani ek

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now