chashm-e-nam karti rahi ashk se fariyaad raqam
chashm-e-nam kartī rahī ashk se fariyād raqam
tab kahīñ jā ke huī dard kī rūdād raqam
terī barsoñ kī kitābat kahīñ barbād na ho
dil-e-nāshād ko ai vaqt na kar shaad raqam
har zamāne meñ qalam kā yahī dastūr rahā
qatl hone pe kiye jaate haiñ a.adād raqam
sū-e-zindāñ kā safar dard ne zanjīr kiyā
ḳhud-ba-ḳhud hotī rahī shorish-e-sayyād raqam
us taraf ḳhāma-e-mahshar ne faqat ek likhā
is taraf chāhe karo jitne bhī afrād raqam
kalma-e-haq ke muqābil jo iram-sāz rahe
un ko tārīḳh kiyā kartī hai shaddād raqam
dil ki ālām-e-haqīqat kā talabgār rahā
so mire haal meñ hotī rahī uftād raqam
soch kar kahnā mire ba.ad koī aisī ġhazal
kahnā paḌ jaa.e na tum ko kahīñ ījād raqam
aise be-dard zamāne haiñ mire saath 'shakīl'
zaḳhm dete haiñ mujhe karke vo ta.adād raqam
chashm-e-nam karti rahi ashk se fariyaad raqam
tab kahin ja ke hui dard ki rudad raqam
teri barson ki kitabat kahin barbaad na ho
dil-e-nashad ko ai waqt na kar shad raqam
har zamane mein qalam ka yahi dastur raha
qatl hone pe kiye jate hain aadad raqam
su-e-zindan ka safar dard ne zanjir kiya
KHud-ba-KHud hoti rahi shorish-e-sayyaad raqam
us taraf KHama-e-mahshar ne faqat ek likha
is taraf chahe karo jitne bhi afrad raqam
kalma-e-haq ke muqabil jo iram-saz rahe
un ko tariKH kiya karti hai shaddad raqam
dil ki aalam-e-haqiqat ka talabgar raha
so mere haal mein hoti rahi uftad raqam
soch kar kahna mere baad koi aisi ghazal
kahna paD jae na tum ko kahin ijad raqam
aise be-dard zamane hain mere sath 'shakil'
zaKHm dete hain mujhe karke wo tadad raqam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.