chashm-e-nam KHam hai yar mat puchho
chashm-e-nam ḳham hai yaar mat pūchho
zindagī ġham hai yaar mat pūchho
ġham se labrez us kī āñkhoñ meñ
kis qadar dam hai yaar mat pūchho
is meñ haiñ kuchh burā.iyāñ lekin
merā hamdam hai yaar mat pūchho
maañ ke ehsān ke evaz jānāñ
maut bhī kam hai yaar mat pūchho
tum ko barbād kar ke chhoḌegī
āshiqī bam hai yaar mat pūchho
chashm-e-nam KHam hai yar mat puchho
zindagi gham hai yar mat puchho
gham se labrez us ki aankhon mein
kis qadar dam hai yar mat puchho
is mein hain kuchh buraiyan lekin
mera hamdam hai yar mat puchho
man ke ehsan ke ewaz jaanan
maut bhi kam hai yar mat puchho
tum ko barbaad kar ke chhoDegi
aashiqi bam hai yar mat puchho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.