chashm-e-nam pe adhuri nami rah gai
chashm-e-nam pe adhūrī namī rah ga.ī
aur lab par hañsī masnūī rah ga.ī
zindagī kī taraf lauT kar aa ga.ī
be-ḳhayālī kī duniyā sajī rah ga.ī
badle mausam meñ bhī yaad dil meñ mire
jo basī thī vahī bas basī rah ga.ī
sādgī meñ adā hai qayāmat bharī
shoḳhiyoñ kī magar kuchh kamī rah ga.ī
log gulshan-nashīñ ho ga.e aur maiñ
dasht-o-sahrā meñ tanhā phañsī rah ga.ī
sard rātoñ meñ 'nik.hat' dhuāñ sā uThā
barf dil meñ kisī ke jamī rah ga.ī
chashm-e-nam pe adhuri nami rah gai
aur lab par hansi masnui rah gai
zindagi ki taraf lauT kar aa gai
be-KHayali ki duniya saji rah gai
badle mausam mein bhi yaad dil mein mere
jo basi thi wahi bas basi rah gai
sadgi mein ada hai qayamat bhari
shoKHiyon ki magar kuchh kami rah gai
log gulshan-nashin ho gae aur main
dasht-o-sahra mein tanha phansi rah gai
sard raaton mein 'nikhat' dhuan sa uTha
barf dil mein kisi ke jami rah gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.