chashm-e-nam se dekhta hai kyon meri chashm-e-pur-ab
chashm-e-nam se dekhta hai kyon meri chashm-e-pur-ab
Basir Sultan Kazmi
MORE BYBasir Sultan Kazmi
chashm-e-nam se dekhtā hai kyoñ mirī chashm-e-pur-āb
tere dil kī barf ne dekhā nahīñ hai āftāb
yuuñ guzartī jā rahī hai zindagī kī dopahar
dil meñ ik ummīd-e-kāzib aur āñkhoñ meñ sarāb
ḳhud-sarī us tund-ḳhū kī jaate jaate jā.egī
ek hī din meñ kabhī aatā nahīñ hai inqalāb
tum ne ham ko kyā diyā aur ham se tum ko kyā milā
mil ga.ī fursat kabhī to ye bhī kar leñge hisāb
ham ko apnā shahr yaad aatā na shāyad is qadar
kyā kareñ rahtā hai tere shahr kā mausam ḳharāb
ek ḳhat likh kar samajhnā farz puurā ho gayā
vaah 'bāsir' jī tumhārā bhī nahīñ koī javāb
chashm-e-nam se dekhta hai kyon meri chashm-e-pur-ab
tere dil ki barf ne dekha nahin hai aaftab
yun guzarti ja rahi hai zindagi ki dopahar
dil mein ek ummid-e-kazib aur aankhon mein sarab
KHud-sari us tund-KHu ki jate jate jaegi
ek hi din mein kabhi aata nahin hai inqalab
tum ne hum ko kya diya aur hum se tum ko kya mila
mil gai fursat kabhi to ye bhi kar lenge hisab
hum ko apna shahr yaad aata na shayad is qadar
kya karen rahta hai tere shahr ka mausam KHarab
ek KHat likh kar samajhna farz pura ho gaya
wah 'basir' ji tumhaara bhi nahin koi jawab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.