chashm-e-pur-ab ghaTa si uski
chashm-e-pur-āb ghaTā sī us kī
dekhiye reg-shanāsī us kī
aaj chehre ko nazar lagne lagī
yaad aa.ī thī zarā sī us kī
yaad kā dariyā chaḌhā jaatā hai
phir nigāheñ huiiñ pyāsī us kī
gard-ālūda nahīñ baal koī
sar pe rahtī hai ridā sī us kī
chaak jo āḳhir-e-shab ho ga.ī hai
ashkoñ se ab vo qabā sī us kī
aap hairān hai duniyā us par
dev jis shaḳhs kā daasī us kī
chashm-e-pur-ab ghaTa si us ki
dekhiye reg-shanasi us ki
aaj chehre ko nazar lagne lagi
yaad aai thi zara si us ki
yaad ka dariya chaDha jata hai
phir nigahen huin pyasi us ki
gard-aluda nahin baal koi
sar pe rahti hai rida si us ki
chaak jo aaKHir-e-shab ho gai hai
ashkon se ab wo qaba si us ki
aap hairan hai duniya us par
dew jis shaKHs ka dasi us ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.