chashm-e-pur-ab sabhi dard sunae hum ko
chashm-e-pur-āb sabhī dard sunā.e ham ko
naqsh-e-ummīd hai vo yaad na aa.e ham ko
ḳhalvat-e-ḳhās meñ ye zauq satā.e ham ko
madh-bharī dhun meñ koī shaḳhs ho gaa.e ham ko
rut ḳhizāñ kī chalī hai suukh ga.e haiñ sabhī peḌ
yaad aa.e haiñ shajar-zār ke saa.e ham ko
aaj mā'lūm nahīñ kis liye yaad aa.e haiñ
dasht-o-sahrā ke vo vīrān sarā.e ham ko
ghar ko lauTe haiñ magar chain nahīñ hai 'ākif'
yaad aate haiñ vahī des parā.e ham ko
chashm-e-pur-ab sabhi dard sunae hum ko
naqsh-e-ummid hai wo yaad na aae hum ko
KHalwat-e-KHas mein ye zauq satae hum ko
madh-bhari dhun mein koi shaKHs ho gae hum ko
rut KHizan ki chali hai sukh gae hain sabhi peD
yaad aae hain shajar-zar ke sae hum ko
aaj ma'lum nahin kis liye yaad aae hain
dasht-o-sahra ke wo viran sarae hum ko
ghar ko lauTe hain magar chain nahin hai 'akif'
yaad aate hain wahi des parae hum ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.