chashm-e-saqi agar salamat hai
chashm-e-sāqī agar salāmat hai
sāġhar-o-mai kī kyā zarūrat hai
chaak dāman hai aañkh hai pur-nam
kyā yahī hāsil-e-mohabbat hai
ye ġham-e-dil ye dard-e-tanhā.ī
mere mahbūb kī ināyat hai
husn-e-maġhrūr kyā patā tujh ko
āshiqoñ kā vajūd rahmat hai
uljhanoñ aur zulf barham meñ
koī kyā jaane kitnī nisbat hai
merī tauba kī aaj ḳhair nahīñ
har adā husn kī qayāmat hai
vo na aa.e to un kī yaad aa.ī
ye bhī 'aḳhtar' bahut ġhanīmat hai
chashm-e-saqi agar salamat hai
saghar-o-mai ki kya zarurat hai
chaak daman hai aankh hai pur-nam
kya yahi hasil-e-mohabbat hai
ye gham-e-dil ye dard-e-tanhai
mere mahbub ki inayat hai
husn-e-maghrur kya pata tujh ko
aashiqon ka wajud rahmat hai
uljhanon aur zulf barham mein
koi kya jaane kitni nisbat hai
meri tauba ki aaj KHair nahin
har ada husn ki qayamat hai
wo na aae to un ki yaad aai
ye bhi 'aKHtar' bahut ghanimat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.