Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chashm-e-saqi ka jo ima ho gaya

Hasrat Sharvani

chashm-e-saqi ka jo ima ho gaya

Hasrat Sharvani

MORE BYHasrat Sharvani

    chashm-e-sāqī jo iimā ho gayā

    riñd-e-mai-kash shaiḳh san.ā ho gayā

    mar gayā maiñ ab to haT puurī huī

    lo mirī jaañ ab to kahnā ho gayā

    har girāñ jaañ ko shauq-e-jins-e-dard

    kis qadar sastā ye saudā ho gayā

    āfat-e-jāñ terī qahr-ālūda chashm

    rāhat-e-jāñ terā hañsnā ho gayā

    kuchh na dekhī ham ne tāsīr-e-fuġhāñ

    rote rote ik zamāna ho gayā

    aa ga.ī jab yaad us bedard

    dard ik dil meñ paidā ho gayā

    aamad aamad se mire saffāk

    hashr meñ ik hashr barpā ho gayā

    dil uḌā kar le ga.ī us nazar

    vo parī-rū muft rusvā ho gayā

    dekh kar ā.īna vo but ban ga.e

    mujh se baḌh kar un ko sakta ho gayā

    'hasrat'-e-dīvāna dil de kar unheñ

    ik zamāne tamāshā ho gayā

    chashm-e-saqi ka jo ima ho gaya

    rind-e-mai-kash shaiKH sana ho gaya

    mar gaya main ab to haT puri hui

    lo meri jaan ab to kahna ho gaya

    har giran jaan ko hi shauq-e-jins-e-dard

    kis qadar sasta ye sauda ho gaya

    aafat-e-jaan teri qahr-aluda chashm

    rahat-e-jaan tera hansna ho gaya

    kuchh na dekhi hum ne tasir-e-fughan

    rote rote ek zamana ho gaya

    aa gai jab yaad us bedard ki

    dard sa ek dil mein paida ho gaya

    aamad aamad se mere saffak ki

    hashr mein ek hashr barpa ho gaya

    dil uDa kar le gai us ki nazar

    wo pari-ru muft ruswa ho gaya

    dekh kar aaina wo but ban gae

    mujh se baDh kar un ko sakta ho gaya

    'hasrat'-e-diwana dil de kar unhen

    ek zamane ka tamasha ho gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now