chashm-e-shab-zad se kaise ye hawale nikle
chashm-e-shab-zad se kaise ye hawale nikle
Fatima Husaini Makhfi
MORE BYFatima Husaini Makhfi
chashm-e-shab-zād se kaise ye havāle nikle
kin añdheroñ ke ta'āqub meñ ujāle nikle
dam-ba-dam mauj-e-havādis ne hameñ gher liyā
ham bhī kashtī ko salīqe se sañbhāle nikle
ham bhalā apne raqīboñ kā gila kyā karte
sab ke sab aap ke hī chāhne vaale nikle
gher laa.ī thī jinheñ sail-e-junūñ kī hasrat
ek sāhil pe sabhī Dūbne vaale nikle
kitnā rangīn fasāna thā kisī nisbat kā
jis ke aurāq sabhī surḳhiyoñ vaale nikle
ka.ī 'unvān the tahrīr-e-tamanna ke asiir
jin pe ashkoñ meñ maqāloñ pe maqāle nikle
jo uḌī misr ke bāzār ke sajne kī ḳhabar
ham bhī is dil kī kamā.ī ko khañgāle nikle
kis kī mohtāt-nigāhī kā asar hai 'maḳhfī'
apnī tasvīr se lipTe hue jaale nikle
chashm-e-shab-zad se kaise ye hawale nikle
kin andheron ke ta'aqub mein ujale nikle
dam-ba-dam mauj-e-hawadis ne hamein gher liya
hum bhi kashti ko saliqe se sanbhaale nikle
hum bhala apne raqibon ka gila kya karte
sab ke sab aap ke hi chahne wale nikle
gher lai thi jinhen sail-e-junun ki hasrat
ek sahil pe sabhi Dubne wale nikle
kitna rangin fasana tha kisi nisbat ka
jis ke auraq sabhi surKHiyon wale nikle
kai 'unwan the tahrir-e-tamanna ke asir
jin pe ashkon mein maqalon pe maqale nikle
jo uDi misr ke bazar ke sajne ki KHabar
hum bhi is dil ki kamai ko khangale nikle
kis ki mohtat-nigahi ka asar hai 'maKHfi'
apni taswir se lipTe hue jale nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.