chashm-e-tar hai sahab hai kya hai
chashm-e-tar hai sahāb hai kyā hai
ashk gauhar hai aab hai kyā hai
marnā jiinā janāb hai kyā hai
har-nafas inqalāb hai kiyā hai
zahr phailā fazā meñ nafrat kā
ye siyāsat kā baab hai kyā hai
jām-e-duniyā ko muñh lagā kar dekh
zahr hai yā sharāb hai kyā hai
sinf-e-nāzuk ye tabsira kījiye
ḳhaar hai yā gulāb hai kyā hai
ham se 'ālam kī pūchh asliyat
ye haqīqat hai ḳhvāb hai kyā hai
kaun jaan adāoñ meñ us kī
bachpanā hai shabāb hai kyā hai
vo 'vaqār' aap kā murassā-e-'hilm'
be-nuqat ik kitāb hai kyā hai
chashm-e-tar hai sahab hai kya hai
ashk gauhar hai aab hai kya hai
marna jina janab hai kya hai
har-nafas inqalab hai kiya hai
zahr phaila faza mein nafrat ka
ye siyasat ka bab hai kya hai
jam-e-duniya ko munh laga kar dekh
zahr hai ya sharab hai kya hai
sinf-e-nazuk ye tabsira kijiye
KHar hai ya gulab hai kya hai
hum se 'alam ki puchh asliyat
ye haqiqat hai KHwab hai kya hai
kaun jaan adaon mein us ki
bachpana hai shabab hai kya hai
wo 'waqar' aap ka murassa-e-'hilm'
be-nuqat ek kitab hai kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.