chashm-e-tar pe naqsh hai un manzaron ka silsila
chashm-e-tar pe naqsh hai un manzaroñ kā silsila
baḌhte baḌhte baḌh gayā hai fāsloñ kā silsila
ham salāmat kis tarah rahte bhalā sach bol kar
chār-sū bikhrā paḌā thā pattharoñ kā silsila
dil kī vahshat māñgtī hai lā-makāñ kī vus.ateñ
ik nazar bhātā nahīñ mujh ko gharoñ kā silsila
niiñd kā ehsās raushan qumqumoñ meñ kho gayā
aa basā āñkhoñ meñ mere ratjagoñ kā silsila
vo anā ke ḳhol meñ thā maiñ anā se duur thī
mere us ke darmiyāñ thā uljhanoñ kā silsila
kyoñ nazar aatī nahīñ logoñ ko apnī sūrateñ
duur tak phailā hai jabki ā.inoñ kā silsila
'yāsmīñ' jin se mayassar ho tarāvat aañkh ko
dekhnā hai ab mujhe aisī rutoñ kā silsila
chashm-e-tar pe naqsh hai un manzaron ka silsila
baDhte baDhte baDh gaya hai faslon ka silsila
hum salamat kis tarah rahte bhala sach bol kar
chaar-su bikhra paDa tha pattharon ka silsila
dil ki wahshat mangti hai la-makan ki wusaten
ek nazar bhata nahin mujh ko gharon ka silsila
nind ka ehsas raushan qumqumon mein kho gaya
aa basa aankhon mein mere ratjagon ka silsila
wo ana ke KHol mein tha main ana se dur thi
mere us ke darmiyan tha uljhanon ka silsila
kyon nazar aati nahin logon ko apni suraten
dur tak phaila hai jabki aainon ka silsila
'yasmin' jin se mayassar ho tarawat aankh ko
dekhna hai ab mujhe aisi ruton ka silsila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.