chashm-e-wahshat ye teri girya-o-zari kam hai
chashm-e-vahshat ye tirī girya-o-zārī kam hai
ġham ziyāda hai magar sīna-figārī kam hai
itnā chillā.eñ ki qātil kī rageñ phaT jaa.eñ
rone vaalo abhī āvāz hamārī kam hai
is liye baḌhtī chalī jaatī hai lāshoñ kī qatār
merī fursat ke liye zaḳhm-shumārī kam hai
chīḳhte haiñ badan-e-tifl se zaḳhmoñ ke nishān
itnī shamshīroñ meñ shamshīr tumhārī kam hai
kyoñ nahīñ hotā adū par mire hamloñ kā asar
haath halkā hai ki talvār ye bhārī kam hai
chappe chappe pe hai kuchlī huī kaliyoñ kā lahū
is gulistāñ ke liye bād-e-bahārī kam hai
mere ġham-ḳhāne kā mausam hai badalne vaalā
hai rajaz-ḳhvānī fuzūñ nauha-nigārī kam hai
mere chehre se na andāza lagānā ki ye umr
mujh pe biitī hai bahut maiñ ne guzārī kam hai
raḳhsh-e-jāñ mujh ko qayāmat kā safar hai darpesh
is masāfat ko faqat ek savārī kam hai
qāfila kuuch ko tayyār hai ghar kī jānib
sab haiñ maujūd magar ek amārī kam hai
chashm-e-wahshat ye teri girya-o-zari kam hai
gham ziyaada hai magar sina-figari kam hai
itna chillaen ki qatil ki ragen phaT jaen
rone walo abhi aawaz hamari kam hai
is liye baDhti chali jati hai lashon ki qatar
meri fursat ke liye zaKHm-shumari kam hai
chiKHte hain badan-e-tifl se zaKHmon ke nishan
itni shamshiron mein shamshir tumhaari kam hai
kyon nahin hota adu par mere hamlon ka asar
hath halka hai ki talwar ye bhaari kam hai
chappe chappe pe hai kuchli hui kaliyon ka lahu
is gulistan ke liye baad-e-bahaari kam hai
mere gham-KHane ka mausam hai badalne wala
hai rajaz-KHwani fuzun nauha-nigari kam hai
mere chehre se na andaza lagana ki ye umr
mujh pe biti hai bahut main ne guzari kam hai
raKHsh-e-jaan mujh ko qayamat ka safar hai darpesh
is masafat ko faqat ek sawari kam hai
qafila kuch ko tayyar hai ghar ki jaanib
sab hain maujud magar ek amari kam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.