chashm ko saunpi gai KHidmat-e-KHwab
chashm ko sauñpī ga.ī ḳhidmat-e-ḳhvāb
dil pe taarī hai ajab hālat-e-ḳhvāb
ḳhvāb ab ke na haqīqat ho jaa.e
ab ke aisī hai mirī shiddat-e-ḳhvāb
maiñ ne paḌh lī haiñ tirī bhī āñkheñ
sirf mujh par na lagā tohmat-e-ḳhvāb
tujh ko muzhda ho mirī aañkh ki ab
mujh meñ baaqī na rahī himmat-e-ḳhvāb
ḳhvāb maḳhfī hī rahe sab se yahāñ
kaun kartā hai bhalā izzat-e-ḳhvāb
merī āñkhoñ meñ guhar haiñ kitne
mujh ko hāsil hai bahut daulat-e-ḳhvāb
tum ki jalvat se gurezāñ ho bahut
ab to aa jaao ki hai ḳhalvat-e-ḳhvāb
us ke pahre haiñ mirī āñkhoñ par
us ko ma.alūm hai kyā quvvat-e-ḳhvāb
kitnā be-ḳhvāb kiyā hai tū ne
chhoḌ pīchhā mirā ai āfat-e-ḳhvāb
bas kaleja hī chabā jaatī hai
kitnī ḳhuñḳhār hai ye vahshat-e-ḳhvāb
kā.enāt aur hayāt ai 'ḳhālid'
ḳhvāb meñ jaise koī sā.at-e-ḳhvāb
chashm ko saunpi gai KHidmat-e-KHwab
dil pe tari hai ajab haalat-e-KHwab
KHwab ab ke na haqiqat ho jae
ab ke aisi hai meri shiddat-e-KHwab
main ne paDh li hain teri bhi aankhen
sirf mujh par na laga tohmat-e-KHwab
tujh ko muzhda ho meri aankh ki ab
mujh mein baqi na rahi himmat-e-KHwab
KHwab maKHfi hi rahe sab se yahan
kaun karta hai bhala izzat-e-KHwab
meri aankhon mein guhar hain kitne
mujh ko hasil hai bahut daulat-e-KHwab
tum ki jalwat se gurezan ho bahut
ab to aa jao ki hai KHalwat-e-KHwab
us ke pahre hain meri aankhon par
us ko malum hai kya quwwat-e-KHwab
kitna be-KHwab kiya hai tu ne
chhoD pichha mera ai aafat-e-KHwab
bas kaleja hi chaba jati hai
kitni KHunKHar hai ye wahshat-e-KHwab
kaenat aur hayat ai 'KHalid'
KHwab mein jaise koi saat-e-KHwab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.