Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chashm-o-ada-o-ghamza shoKHi-o-naz panchon

Insha Allah Khan Insha

chashm-o-ada-o-ghamza shoKHi-o-naz panchon

Insha Allah Khan Insha

MORE BYInsha Allah Khan Insha

    chashm-o-adā-o-ġhamza shoḳhī-o-nāz pāñchoñ

    dushman haiñ mere ke banda-navāz pāñchoñ

    kyā rang-e-zard-o-girya kiyā zo'f-o-dard-o-afġhān

    ifshā kareñ haiñ mil kar merā ye raaz pāñchoñ

    bār-e-firāq se hai joñ sham-e-dil ko har shab

    ehrāq-o-dāġh-o-girya soz-o-gudāz pāñchoñ

    ārām-o-sabr-o-tāqat hosh-o-hayā kahāñ phir

    le dil ke saath ye bhī ai ishva-sāz pāñchoñ

    farhād-o-qais-o-vāmiq mahmūd-o-māh-rū bhī

    rakh haar mujh pe soveñ ho pā-darāz pāñchoñ

    haiñ tere dar pe aa kar har ek sar-ba-sajda

    lailā-o-mahr-o-azrā shīrīñ ayaaz pāñchoñ

    mat pūchh kār-e-'inshā' hijr-o-visāl meñ kuchh

    sabr-o-junūn-o-vahshat ijz-o-niyāz pāñchoñ

    chashm-o-ada-o-ghamza shoKHi-o-naz panchon

    dushman hain mere ji ke banda-nawaz panchon

    kya rang-e-zard-o-girya kiya zo'f-o-dard-o-afghan

    ifsha karen hain mil kar mera ye raaz panchon

    bar-e-firaq se hai jon sham-e-dil ko har shab

    ehraq-o-dagh-o-girya soz-o-gudaz panchon

    aaram-o-sabr-o-taqat hosh-o-haya kahan phir

    le dil ke sath ye bhi ai ishwa-saz panchon

    farhad-o-qais-o-wamiq mahmud-o-mah-ru bhi

    rakh haar mujh pe sowen ho pa-daraaz panchon

    hain tere dar pe aa kar har ek sar-ba-sajda

    laila-o-mahr-o-azra shirin ayaz panchon

    mat puchh kar-e-'insha' hijr-o-visal mein kuchh

    sabr-o-junun-o-wahshat ijz-o-niyaz panchon

    Source :
    • Kulliyat-e-inshaallah khan insha

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now