chashm-o-dil donon hue aap ki manzil jaanan
chashm-o-dil donoñ hue aap kī manzil jānāñ
raah meñ ab na rahī koī bhī mushkil jānāñ
dasht to dasht hai gulzār bhī hai sarf-e-nazar
aap kyā aa ga.e jannat banī mahfil jānāñ
daur-e-sāġhar hai ki yā gardish-e-chashm-e-fattān
ġham se bojhal jo rahe aaj hai ḳhush-dil jānāñ
darguzar nāma-e-ulfat se kareñ jurm-o-ḳhatā
ban gayā shīr-o-shahad zahr-e-halāhil jānāñ
chashm-o-dil donon hue aap ki manzil jaanan
rah mein ab na rahi koi bhi mushkil jaanan
dasht to dasht hai gulzar bhi hai sarf-e-nazar
aap kya aa gae jannat bani mahfil jaanan
daur-e-saghar hai ki ya gardish-e-chashm-e-fattan
gham se bojhal jo rahe aaj hai KHush-dil jaanan
darguzar nama-e-ulfat se karen jurm-o-KHata
ban gaya shir-o-shahad zahr-e-halahil jaanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.