chashm-o-ruKHsar ki aur kakul-o-lab ki baaten
chashm-o-ruḳhsār kī aur kākul-o-lab kī bāteñ
yaad aatī haiñ hameñ aaj ye kab kī bāteñ
kaT ga.ī ‘umr-e-vafā dard ke vīrānoñ meñ
ham kahāñ aur kahāñ shahr-e-tarab kī bāteñ
jin ke zehnoñ meñ hai tābinda sahar kī ummīd
vo kabhī karte nahīñ zulmat-e-shab kī bāteñ
phir koī zaḳhm-e-dil-e-zār na taaza ho jaa.e
ahl-e-ġham se na karo aish-o-tarab kī bāteñ
qaht hai dahr meñ arbāb-e-nazar kā 'rāhī'
ab koī kis se kare she'r-o-adab kī bāteñ
chashm-o-ruKHsar ki aur kakul-o-lab ki baaten
yaad aati hain hamein aaj ye kab ki baaten
kaT gai ‘umr-e-wafa dard ke viranon mein
hum kahan aur kahan shahr-e-tarab ki baaten
jin ke zehnon mein hai tabinda sahar ki ummid
wo kabhi karte nahin zulmat-e-shab ki baaten
phir koi zaKHm-e-dil-e-zar na taza ho jae
ahl-e-gham se na karo aish-o-tarab ki baaten
qaht hai dahr mein arbab-e-nazar ka 'rahi'
ab koi kis se kare she'r-o-adab ki baaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.