chaukhaT pe ki raste pe rakho meri bala se
chaukhaT pe ki raste pe rakho merī balā se
merā vo diyā hai nahīñ Dartā jo havā se
ye jurm-e-mohabbat maiñ ne dānista kiyā hai
duniyā se kaho mujh ko Darā.e na sazā se
ye mere sitamgar kā karam kam to nahīñ hai
maiñ aah jo bhartā huuñ to detā hai dilāse
is shahr meñ baste haiñ jo bahre haiñ ki murde
ab dar nahīñ khultā hai koī āh-o-bukā se
kuchh logoñ ne mil-jul ke kuaañ khod liyā hai
kuchh log abhī minnateñ karte haiñ ghaTā se
dariyā kī saḳhāvat kā bharam khulne lagā hai
kuchh log haiñ sairāb to kuchh log haiñ pyāse
bīmār ne is baar yahī qasd kiyā hai
vo Thiik nahīñ hogā davā se na du'ā se
chaukhaT pe ki raste pe rakho meri bala se
mera wo diya hai nahin Darta jo hawa se
ye jurm-e-mohabbat main ne danista kiya hai
duniya se kaho mujh ko Darae na saza se
ye mere sitamgar ka karam kam to nahin hai
main aah jo bharta hun to deta hai dilase
is shahr mein baste hain jo bahre hain ki murde
ab dar nahin khulta hai koi aah-o-buka se
kuchh logon ne mil-jul ke kuan khod liya hai
kuchh log abhi minnaten karte hain ghaTa se
dariya ki saKHawat ka bharam khulne laga hai
kuchh log hain sairab to kuchh log hain pyase
bimar ne is bar yahi qasd kiya hai
wo Thik nahin hoga dawa se na du'a se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.