chehra hai aaina hai
chehra hai ā.īna hai
kamre meñ sannāTā hai
phūloñ kī ḳhushbū pā kar
dil pāgal ho jaatā hai
shāh-e-vaqt ko Dar kaisā
sāmne ek piyāda hai
us kī anā mahfūz rahe
mujh par tanz jo kartā hai
dekhūñ saath rahe kab tak
shāḳh huuñ maiñ vo pattā hai
āñkheñ us kī hañstī haiñ
mujh se koī rishta hai
bhiiḌ se niklo vo 'jāved'
tanhā.ī meñ miltā hai
chehra hai aaina hai
kamre mein sannaTa hai
phulon ki KHushbu pa kar
dil pagal ho jata hai
shah-e-waqt ko Dar kaisa
samne ek piyaada hai
us ki ana mahfuz rahe
mujh par tanz jo karta hai
dekhun sath rahe kab tak
shaKH hun main wo patta hai
aankhen us ki hansti hain
mujh se koi rishta hai
bhiD se niklo wo 'jawed'
tanhai mein milta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.