chehra hasin khurdure patthar mein qaid hai
chehra hasīn khurdure patthar meñ qaid hai
aks-e-nashāt karb ke manzar meñ qaid hai
koī na sun sakegā ye ma.alūm hai mujhe
āvāz merī gumbad-e-be-dar meñ qaid hai
mujh ko tirī talāsh hai kab se yazīd-e-vaqt
āb-e-hayāt tere hī ḳhanjar meñ qaid hai
mujh ko sujhā.ī detā nahīñ apnā haath bhī
merī nazar dhueñ ke samundar meñ qaid hai
panchhī jo āsmān meñ uḌtā thā raat din
narġhe meñ filoñ ke vo daftar meñ qaid hai
ab sirf apnā jism liye ghūmtā huuñ maiñ
ai 'najm' merī ruuh mire ghar meñ qaid hai
chehra hasin khurdure patthar mein qaid hai
aks-e-nashat karb ke manzar mein qaid hai
koi na sun sakega ye malum hai mujhe
aawaz meri gumbad-e-be-dar mein qaid hai
mujh ko teri talash hai kab se yazid-e-waqt
aab-e-hayat tere hi KHanjar mein qaid hai
mujh ko sujhai deta nahin apna hath bhi
meri nazar dhuen ke samundar mein qaid hai
panchhi jo aasman mein uDta tha raat din
narghe mein filon ke wo daftar mein qaid hai
ab sirf apna jism liye ghumta hun main
ai 'najm' meri ruh mere ghar mein qaid hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.