chehra nahin tha maila qusur aaine ka tha
chehra nahīñ thā mailā qusūr aa.ine kā thā
ye sochnā bhī us kā ajab zāviye kā thā
maiñ kis tarah na us ke bichhaḌne kā ġham karūñ
sāthī vo merā barsoñ se har rāste kā thā
darvāza merā khol ke pūchhā havāoñ ne
kyā intizār tum ko kisī dūsre kā thā
dekhā nahīñ kisī ne use e'timād se
jo kaam kar gayā vo baḌe hausle kā thā
ham sīḌhiyoñ pe vaqt kī chaḌhte rahe 'matīn'
har daur zindagī kā na.e tajrbe kā thā
chehra nahin tha maila qusur aaine ka tha
ye sochna bhi us ka ajab zawiye ka tha
main kis tarah na us ke bichhaDne ka gham karun
sathi wo mera barson se har raste ka tha
darwaza mera khol ke puchha hawaon ne
kya intizar tum ko kisi dusre ka tha
dekha nahin kisi ne use e'timad se
jo kaam kar gaya wo baDe hausle ka tha
hum siDhiyon pe waqt ki chaDhte rahe 'matin'
har daur zindagi ka nae tajrbe ka tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.