chehra rakhte hain hum phir bhi KHush hain bahut toD kar aaine
chehra rakhte hain hum phir bhi KHush hain bahut toD kar aaine
Faza Ibn e Faizi
MORE BYFaza Ibn e Faizi
chehra rakhte haiñ ham phir bhī ḳhush haiñ bahut toḌ kar aa.ine
'aks kī mā’naviyyat samajhte bhī kyā kam-hunar aa.ine
jā ke kis duur ke des meñ jā base jo adā-fahm the
ham ne patthar ḳharīde tire shahr meñ bech kar aa.ine
ḳhāl-o-ḳhat ke varaq lamha-e-rafta kab kā churā le gayā
kyā chhupāte haiñ ab merī be-chehragī kī ḳhabar aa.ine
us kī āvārgī ko du'ā.eñ do ai sāhibān-e-junūñ
jis ke naqsh-e-qadam ne bichhā.e sar-e-rahguzar aa.ine
thiiñ jo mā'nī kī mānūs sī sūrateñ vo kahāñ kho ga.iiñ
dhund meñ lipTe lipTe haiñ alfāz ke mo'tabar aa.ine
kaise āshob-e-dānish pe rakhtā nazar maiñ kam-āgāh thā
de gayā mujh ko āñkhoñ ke badle koī be-basar aa.ine
apnī āvāz ko naqsh meñ Dhālne kā hunar siikh lo
tum se milne ko bhaTke haiñ kyā kyā 'fazā' dar-ba-dar aa.ine
chehra rakhte hain hum phir bhi KHush hain bahut toD kar aaine
'aks ki ma’nawiyyat samajhte bhi kya kam-hunar aaine
ja ke kis dur ke des mein ja base jo ada-fahm the
hum ne patthar KHaride tere shahr mein bech kar aaine
KHal-o-KHat ke waraq lamha-e-rafta kab ka chura le gaya
kya chhupate hain ab meri be-chehragi ki KHabar aaine
us ki aawargi ko du'aen do ai sahiban-e-junun
jis ke naqsh-e-qadam ne bichhae sar-e-rahguzar aaine
thin jo ma'ni ki manus si suraten wo kahan kho gain
dhund mein lipTe lipTe hain alfaz ke mo'tabar aaine
kaise aashob-e-danish pe rakhta nazar main kam-agah tha
de gaya mujh ko aankhon ke badle koi be-basar aaine
apni aawaz ko naqsh mein Dhaalne ka hunar sikh lo
tum se milne ko bhaTke hain kya kya 'faza' dar-ba-dar aaine
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.