chehra salim na nazar hi qaem
chehra sālim na nazar hī qaa.em
be-sutūñ sab kī havelī qaa.em
haath se maujoñ ne rakh dī patvār
kaise dhāre pe hai kashtī qaa.em
ziist hai kachche ghaḌe ke mānind
bahte paanī pe hai miTTī qaa.em
saa.e dīvār ke TeḌhe tirchhe
aur dīvār ki sīdhī qaa.em
sab haiñ TuuTī huī qadroñ ke khañDar
kaun hai vaz' pe apnī qaa.em
ḳhud ko kis sat.h pe zinda rakkhūñ
lafz daa.im haiñ na mā'nī qaa.em
hai baḌī baat jo rah jaa.e 'fazā'
sat.h-e-sanjīda-nigāhī qaa.em
chehra salim na nazar hi qaem
be-sutun sab ki haweli qaem
hath se maujon ne rakh di patwar
kaise dhaare pe hai kashti qaem
zist hai kachche ghaDe ke manind
bahte pani pe hai miTTi qaem
sae diwar ke TeDhe tirchhe
aur diwar ki sidhi qaem
sab hain TuTi hui qadron ke khanDar
kaun hai waz' pe apni qaem
KHud ko kis sath pe zinda rakkhun
lafz daim hain na ma'ni qaem
hai baDi baat jo rah jae 'faza'
sath-e-sanjida-nigahi qaem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.