chehra tamam zindagi taswir ek pal
chehra tamām zindagī tasvīr ek pal
itne tavīl ḳhvāb kī ta.abīr ek pal
vo saañs mere jism se ho kar guzar ga.ī
Thahrā nahīñ hadaf pe tirā tiir ek pal
ik sāneha ki raushnī kartā hai chār-samt
ik lau ki chhoḌtī nahīñ tāsīr ek pal
jaise kisī tane se juḌā ho tamām peḌ
mere azal abad se baġhal-gīr ek pal
sab kuchh na.e sire se banānā paḌā mujhe
rokī thī darmiyān meñ ta.amīr ek pal
chehra tamam zindagi taswir ek pal
itne tawil KHwab ki tabir ek pal
wo sans mere jism se ho kar guzar gai
Thahra nahin hadaf pe tera tir ek pal
ek saneha ki raushni karta hai chaar-samt
ek lau ki chhoDti nahin tasir ek pal
jaise kisi tane se juDa ho tamam peD
mere azal abad se baghal-gir ek pal
sab kuchh nae sire se banana paDa mujhe
roki thi darmiyan mein tamir ek pal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.