chehre ka aaftab dikhai na de to phir
chehre kā āftāb dikhā.ī na de to phir
niilī chhalaktī dhuup se āñkhoñ ko bhar leñ ham
aao mizāj-e-pursi-e-dīvār-o-dar kareñ
muddat se ham the qaid ab in kī ḳhabar leñ ham
chubhtī nahīñ haiñ dard kī be-ḳhvāb sūiyāñ
angāre ab jagāo to shāyad asar leñ ham
saare uluum ham kareñ finñār-vassqr
mā'sūmiyat kī raah meñ tīr-o-tabar leñ ham
jī chāhtā hai sīna-e-aflāk chiir kar
tūfān-e-abr-o-bād ko muTThī meñ bhar leñ ham
chehre ka aaftab dikhai na de to phir
nili chhalakti dhup se aankhon ko bhar len hum
aao mizaj-e-pursi-e-diwar-o-dar karen
muddat se hum the qaid ab in ki KHabar len hum
chubhti nahin hain dard ki be-KHwab suiyan
angare ab jagao to shayad asar len hum
sare ulum hum karen finnar-wassqr
ma'sumiyat ki rah mein tir-o-tabar len hum
ji chahta hai sina-e-aflak chir kar
tufan-e-abr-o-baad ko muTThi mein bhar len hum
- Book : Ganj e Sokhta (Pg. 54)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.