chehre ko naqab likh raha hun
chehre ko naqāb likh rahā huuñ
mausam pe kitāb likh rahā huuñ
is baar vo aab hai chaman par
har gul ko gulāb likh rahā huuñ
ab ḳhud se huā huuñ be-takalluf
yāroñ ko janāb likh rahā huuñ
chehra hai aur aap aks bhī hai
paanī pe sarāb likh rahā huuñ
ye ijz nahīñ hai maslahat hai
dariyā huuñ sahāb likh rahā huuñ
chehre ko naqab likh raha hun
mausam pe kitab likh raha hun
is bar wo aab hai chaman par
har gul ko gulab likh raha hun
ab KHud se hua hun be-takalluf
yaron ko janab likh raha hun
chehra hai aur aap aks bhi hai
pani pe sarab likh raha hun
ye ijz nahin hai maslahat hai
dariya hun sahab likh raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.