chehre makan rah ke patthar badal gae
chehre makān raah ke patthar badal ga.e
jhapkī jo aañkh shahr ke manzar badal ga.e
shahroñ meñ hañstī kheltī chaltī rahī magar
jañgal meñ bād-e-sub.h ke tevar badal ga.e
haañ is meñ kāmdev kī koī ḳhatā nahīñ
raste vafā ke saḳht the dilbar badal ga.e
vo āñdhiyāñ chalī haiñ sar-e-dasht aarzū
dil bujh gayā vafāoñ ke mehvar badal ga.e
phūTī kiran to jaag uThī zindagī 'fuzail'
sunsān rāstoñ ke muqaddar badal ga.e
chehre makan rah ke patthar badal gae
jhapki jo aankh shahr ke manzar badal gae
shahron mein hansti khelti chalti rahi magar
jangal mein baad-e-subh ke tewar badal gae
han is mein kaamdew ki koi KHata nahin
raste wafa ke saKHt the dilbar badal gae
wo aandhiyan chali hain sar-e-dasht aarzu
dil bujh gaya wafaon ke mehwar badal gae
phuTi kiran to jag uThi zindagi 'fuzail'
sunsan raston ke muqaddar badal gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.