chehre mein kashish hai mah-o-anjum se ziyaada
chehre meñ kashish hai mah-o-anjum se ziyāda
mahfil meñ hasīñ koī nahīñ tum se ziyāda
maqtal meñ tire husn ke ye scene 'ajab thā
ḳhanjar se mare kam haiñ tabassum se ziyāda
sau baat kī ik baat buzurgoñ ne batā.ī
hai lutf ḳhamoshī meñ takallum se ziyāda
maujoñ kā koī ḳhauf na tūfāñ kā koī Dar
mājhī se maiñ Dartā huuñ talātum se ziyāda
mashkūk nigāhoñ se na dekhā karo us ko
ash'ār vo kahtā hai miyāñ tum se ziyāda
jab aa ga.e mahfil meñ suḳhan-fahm suḳhan-sāz
she'roñ pe milī daad tarannum se ziyāda
taqrīr vo kartā hai baḌe josh meñ lekin
jo shaḳhs paḌhā hī nahīñ panjum se ziyāda
is daur-e-tijārat kā 'ajab haal hai 'fārūq'
sikkoñ meñ tavānā.ī hai gandum se ziyāda
chehre mein kashish hai mah-o-anjum se ziyaada
mahfil mein hasin koi nahin tum se ziyaada
maqtal mein tere husn ke ye scene 'ajab tha
KHanjar se mare kam hain tabassum se ziyaada
sau baat ki ek baat buzurgon ne batai
hai lutf KHamoshi mein takallum se ziyaada
maujon ka koi KHauf na tufan ka koi Dar
majhi se main Darta hun talatum se ziyaada
mashkuk nigahon se na dekha karo us ko
ash'ar wo kahta hai miyan tum se ziyaada
jab aa gae mahfil mein suKHan-fahm suKHan-saz
she'ron pe mili dad tarannum se ziyaada
taqrir wo karta hai baDe josh mein lekin
jo shaKHs paDha hi nahin panjum se ziyaada
is daur-e-tijarat ka 'ajab haal hai 'faruq'
sikkon mein tawanai hai gandum se ziyaada
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.