chehre par ek aur bhi chehra lagaiye
chehre par ek aur bhī chehra lagā.iye
dil chāhe ro rahā ho magar muskurā.iye
aisā na ho ki apnī hī sūrat pe shak paḌe
itnā bhī aa.ine ko na muñh se lagā.iye
ho fāsla to aur bhī baḌh jaatī hai kashish
kuchh duur jā ke aur bhī nazdīk aa.iye
kāñToñ se mere phūloñ ko nisbat nahīñ koī
maiñ shāḳh-e-dil huuñ mujh se na dāman bachā.iye
mumkin jo ho sake to ufuq ban ke dosto
is āsmāñ ko aaj zamīñ se milā.iye
'jāved' apne aap ko samjheñge is tarah
ik musht-e-ḳhāk le ke havā meñ uḌā.iye
chehre par ek aur bhi chehra lagaiye
dil chahe ro raha ho magar muskuraiye
aisa na ho ki apni hi surat pe shak paDe
itna bhi aaine ko na munh se lagaiye
ho fasla to aur bhi baDh jati hai kashish
kuchh dur ja ke aur bhi nazdik aaiye
kanTon se mere phulon ko nisbat nahin koi
main shaKH-e-dil hun mujh se na daman bachaiye
mumkin jo ho sake to ufuq ban ke dosto
is aasman ko aaj zamin se milaiye
'jawed' apne aap ko samjhenge is tarah
ek musht-e-KHak le ke hawa mein uDaiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.