chehre par ek chehra lagana sikh liya
chehre par ik chehra lagānā siikh liyā
āḳhir ham ne taur-e-zamānā siikh liyā
kab tak tujh ko zahmat ho katrāne kī
ham ne bhī ab aañkh churānā siikh liyā
haa.e tum to dil se milne vaale the
tum ne kab se haath milānā siikh liyā
zikr to us kā ab bhī hotā hai lekin
baat pe ham ne baat banānā siikh liyā
dekho laḌkī Thiik nahīñ kam-umrī meñ
ye jo tum ne aañkh laḌānā siikh liyā
kaun yahāñ par aisā jis ne vaqt milā
ham se behtar vaqt gañvānā siikh liyā
ham bhī ab kuchh narm tabī.at vaale haiñ
bachchoñ ne bhī haath uThānā siikh liyā
chehre par ek chehra lagana sikh liya
aaKHir hum ne taur-e-zamana sikh liya
kab tak tujh ko zahmat ho katrane ki
hum ne bhi ab aankh churana sikh liya
hae tum to dil se milne wale the
tum ne kab se hath milana sikh liya
zikr to us ka ab bhi hota hai lekin
baat pe hum ne baat banana sikh liya
dekho laDki Thik nahin kam-umri mein
ye jo tum ne aankh laDana sikh liya
kaun yahan par aisa jis ne waqt mila
hum se behtar waqt ganwana sikh liya
hum bhi ab kuchh narm tabiat wale hain
bachchon ne bhi hath uThana sikh liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.