chehre pe damak uThta hai jab rang-e-haya aur
chehre pe damak uThtā hai jab rañg-e-hayā aur
aise meñ maza detī hai apnī hī adā aur
gar jaañ bhī mirī jaa.e to bāñhoñ meñ tumhārī
dil meñ koī ḳhvāhish hī nahīñ is ke sivā aur
dar chhoḌ ke terā to kahīñ jā na sakūñgī
kāfir to nahīñ huuñ jo banā lūñgī ḳhudā aur
har chand ki ghāyal huuñ magar saañs hai baaqī
jiine kī mujhe dījiye ab koī sazā aur
likhne haiñ mujhe ḳhvāb ke pannoñ pe ujāle
āñkhoñ meñ jalā lūñgī 'samīna' maiñ diyā aur
chehre pe damak uThta hai jab rang-e-haya aur
aise mein maza deti hai apni hi ada aur
gar jaan bhi meri jae to banhon mein tumhaari
dil mein koi KHwahish hi nahin is ke siwa aur
dar chhoD ke tera to kahin ja na sakungi
kafir to nahin hun jo bana lungi KHuda aur
har chand ki ghayal hun magar sans hai baqi
jine ki mujhe dijiye ab koi saza aur
likhne hain mujhe KHwab ke pannon pe ujale
aankhon mein jala lungi 'samina' main diya aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.