chehre pe intizar ki parchhaiyan milin
chehre pe intizār kī parchhā.iyāñ milīñ
ham chup the us ke baa'd bhī rusvā.iyāñ milīñ
aaya na raas ham ko samundar se bhāgnā
sāhil ke ās-pās bhī gahrā.iyāñ milīñ
barsoñ ke baa'd lauT ke aa.e jo gaañv ham
vo chāñdnī milī na vo añgnā.iyāñ milīñ
paanī pe tairtī thī hamārī ġhazal kabhī
Duube jo āñsuoñ meñ to gahrā.iyāñ milīñ
'qaisar' mire nasīb ke din bah ga.e kahāñ
paanī pe sirf shaam kī parchhā.iyāñ milīñ
chehre pe intizar ki parchhaiyan milin
hum chup the us ke ba'd bhi ruswaiyan milin
aaya na ras hum ko samundar se bhagna
sahil ke aas-pas bhi gahraiyan milin
barson ke ba'd lauT ke aae jo ganw hum
wo chandni mili na wo angnaiyan milin
pani pe tairti thi hamari ghazal kabhi
Dube jo aansuon mein to gahraiyan milin
'qaisar' mere nasib ke din bah gae kahan
pani pe sirf sham ki parchhaiyan milin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.