chehre pe mere rang pareshaniyon ka hai
chehre pe mere rañg pareshāniyoñ kā hai
dariyā meñ saarā zor hī tuġhyāniyoñ kā hai
ḳhud rahbarān-e-qaum haiñ ālā.ishoñ meñ gum
ham se magar mutāliba qurbāniyoñ kā hai
ahbāb mere is tarah mujh par haiñ ta.ana-zan
jaise ḳhulūs naam hī nādāniyoñ kā hai
sāhil jo kaT ke girte haiñ dariyā kī god meñ
kyā ye qusūr bahte hue pāniyoñ kā hai
insāñ nahīñ hai koī bhī saa.e zarūr haiñ
manzar har ek shahr meñ vīrāniyoñ kā hai
kuchh ḳhauf-e-ehtisāb na suud o ziyāñ kā Dar
ye fā.eda to be-sar-o-sāmāniyoñ kā hai
chehre pe mere rang pareshaniyon ka hai
dariya mein sara zor hi tughyaniyon ka hai
KHud rahbaran-e-qaum hain aalaishon mein gum
hum se magar mutaliba qurbaniyon ka hai
ahbab mere is tarah mujh par hain tana-zan
jaise KHulus nam hi nadaniyon ka hai
sahil jo kaT ke girte hain dariya ki god mein
kya ye qusur bahte hue paniyon ka hai
insan nahin hai koi bhi sae zarur hain
manzar har ek shahr mein viraniyon ka hai
kuchh KHauf-e-ehtisab na sud o ziyan ka Dar
ye faeda to be-sar-o-samaniyon ka hai
- Book : kulliyat -e-Murtaza Barlas (Pg. 55)
- Author : Murtaza Barlas
- Publication : Alhamd Publication Lahore (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.