chehre pe thoDi rakkhi hai
chehre pe thoḌī rakkhī hai
dil meñ betābī rakkhī hai
ik do din se jiine vaalo
ham ne kaafī jī rakkhī hai
dil ke shajar ne kis mehnat se
ik ik shāḳh harī rakkhī hai
vasl huā par dil meñ tamannā
jaisī thī vaisī rakkhī hai
ġhair kī kyā rakkhegā ye darbāñ
zālim ne kis kī rakkhī hai
havas meñ kuchh bhī kar sakte ho
ishq meñ pābandī rakkhī hai
rind khaḌe haiñ mimbar mimbar
aur vaa.iz ne pī rakkhī hai
raakh qalandar kī le jaao
aag kahāñ baaqī rakkhī hai
ik to bātūnī hai 'ḳhāvar'
uupar se pī bhī rakkhī hai
chehre pe thoDi rakkhi hai
dil mein betabi rakkhi hai
ek do din se jine walo
hum ne kafi ji rakkhi hai
dil ke shajar ne kis mehnat se
ek ek shaKH hari rakkhi hai
wasl hua par dil mein tamanna
jaisi thi waisi rakkhi hai
ghair ki kya rakkhega ye darban
zalim ne kis ki rakkhi hai
hawas mein kuchh bhi kar sakte ho
ishq mein pabandi rakkhi hai
rind khaDe hain mimbar mimbar
aur waiz ne pi rakkhi hai
rakh qalandar ki le jao
aag kahan baqi rakkhi hai
ek to baatuni hai 'KHawar'
upar se pi bhi rakkhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.