chehre se zindagi ki chamak KHatm ho gai
chehre se zindagī kī chamak ḳhatm ho ga.ī
itnā hañse ki saarī lalak ḳhatm ho ga.ī
har rāsta kahīñ na kahīñ jaatā hai magar
chaltā gayā maiñ aur saḌak ḳhatm ho ga.ī
mujh se chhuḌā ke haath bahut ḳhush hai vo magar
ḳhush-rañg chūḌiyoñ kī khanak ḳhatm ho ga.ī
kis sañg-dil ḳhayāl ne sahmā ke rakh diyā
yak-laḳht aa.ine kī chamak ḳhatm ho ga.ī
phūloñ kī dilkashī meñ izāfa huā to hai
lekin ye kyā huā ki mahak ḳhatm ho ga.ī
shāḳh-e-gulāb lagtī hai Daalī babūl kī
mausam ke saath saarī lachak ḳhatm ho ga.ī
aaj us kā maiñ ne āḳhirī ḳhat bhī jalā diyā
'ma.asūm' umr bhar kī kasak ḳhatm ho ga.ī
chehre se zindagi ki chamak KHatm ho gai
itna hanse ki sari lalak KHatm ho gai
har rasta kahin na kahin jata hai magar
chalta gaya main aur saDak KHatm ho gai
mujh se chhuDa ke hath bahut KHush hai wo magar
KHush-rang chuDiyon ki khanak KHatm ho gai
kis sang-dil KHayal ne sahma ke rakh diya
yak-laKHt aaine ki chamak KHatm ho gai
phulon ki dilkashi mein izafa hua to hai
lekin ye kya hua ki mahak KHatm ho gai
shaKH-e-gulab lagti hai Dali babul ki
mausam ke sath sari lachak KHatm ho gai
aaj us ka main ne aaKHiri KHat bhi jala diya
'masum' umr bhar ki kasak KHatm ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.