chehron ke KHad-o-Khaal ka manzar nahin dekha
chehroñ ke ḳhad-o-ḳhāl kā manzar nahīñ dekhā
tum ne kabhī ā.īnoñ ke andar nahīñ dekhā
phūloñ ke tabassum pe na itrāo nazāro
phūloñ kā kabhī tum ne muqaddar nahīñ dekhā
kis tarah se qātil kahūñ tohmat rakhūñ un par
jin hāthoñ meñ maiñ ne kabhī ḳhanjar nahīñ dekhā
paanī ke tarannum meñ to mas.hūr sabhī the
girte hue jharne ko samajh kar nahīñ dekhā
ma.asūm tabassum ne tire toḌe haiñ paikāñ
tujh jaisā mujāhid alī 'asġhar' nahīñ dekhā
ai dast-e-talab sar na anā kā kahīñ jhuk jaa.e
maiñ ne kabhī zardāroñ ko muḌ kar nahīñ dekhā
chehron ke KHad-o-KHal ka manzar nahin dekha
tum ne kabhi aainon ke andar nahin dekha
phulon ke tabassum pe na itrao nazaro
phulon ka kabhi tum ne muqaddar nahin dekha
kis tarah se qatil kahun tohmat rakhun un par
jin hathon mein main ne kabhi KHanjar nahin dekha
pani ke tarannum mein to mashur sabhi the
girte hue jharne ko samajh kar nahin dekha
masum tabassum ne tere toDe hain paikan
tujh jaisa mujahid ali 'asghar' nahin dekha
ai dast-e-talab sar na ana ka kahin jhuk jae
main ne kabhi zardaron ko muD kar nahin dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.