chehron pe khuli dhup saja kar jo gaya hai
chehroñ pe khulī dhuup sajā kar jo gayā hai
ab shahr meñ sūraj bhī use DhūñD rahā hai
maiñ ḳhush huuñ bahut kāñch kī poshāk pahan kar
patthar se jo Takrā.ī hai vo merī sadā hai
vo shaḳhs jo ā.īna thā chehroñ ke jahāñ meñ
bikhrā to kisī se bhī sameTā na gayā hai
ghar us kā hai darvāza bhī dastak bhī usī kī
āvāz ke rishtoñ meñ vahī shahr-e-duā hai
haath us kā har ik soch mirī thaam rahā hai
vo shaḳhs mirī zaat meñ mujh se bhī baḌā hai
ik abr kā TukḌā jo tirī yaad kā guzrā
ehsās kā sūkhā huā jangal bhī harā hai
shīshe kā koī ghar thā na dil kī koī āvāz
phir kyoñ ye sar-e-rāh chhanākā sā huā hai
chehron pe khuli dhup saja kar jo gaya hai
ab shahr mein suraj bhi use DhunD raha hai
main KHush hun bahut kanch ki poshak pahan kar
patthar se jo Takrai hai wo meri sada hai
wo shaKHs jo aaina tha chehron ke jahan mein
bikhra to kisi se bhi sameTa na gaya hai
ghar us ka hai darwaza bhi dastak bhi usi ki
aawaz ke rishton mein wahi shahr-e-dua hai
hath us ka har ek soch meri tham raha hai
wo shaKHs meri zat mein mujh se bhi baDa hai
ek abr ka TukDa jo teri yaad ka guzra
ehsas ka sukha hua jangal bhi hara hai
shishe ka koi ghar tha na dil ki koi aawaz
phir kyon ye sar-e-rah chhanaka sa hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.