Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chehron pe likkhe logon ke sadme paDha karo

Sameena Rahmat Manal

chehron pe likkhe logon ke sadme paDha karo

Sameena Rahmat Manal

MORE BYSameena Rahmat Manal

    chehroñ pe likkhe logoñ ke sadme paḌhā karo

    qabroñ pe likkhe mardoñ ke katbe paḌhā karo

    rakhte haiñ kyā vo bastoñ meñ baste paḌhā karo

    likhte haiñ kyā vo parchoñ meñ parche paḌhā karo

    mālūm to ho miTTī ki daldal thī paañv meñ

    jo ho sake to būToñ ke tasme paḌhā karo

    dukh dene jo socho kisī bhī aziiz ko

    to phir qarīb se sabhī rishte paḌhā karo

    ye na suno ki kyā kyā vo kahte rahe tumheñ

    jo ho sake to logoñ ke lahje paḌhā karo

    chaḌhte haiñ log phāñsī pe kis jurm ke tahat

    taḳhtī to paḌh lete ho taḳhte paḌhā karo

    jab baazī hārne lago to ġhaur se zarā

    shatranj pe bichhe hue mohre paḌhā karo

    socho kabhī talāq to is se beshtar

    shādī pe likhe beToñ ke sehre paḌhā karo

    āñkheñ paḌho ki in meñ ye paanī hai kis liye

    maiñ ne ye kab kahā hai ki chehre paḌhā karo

    chehron pe likkhe logon ke sadme paDha karo

    qabron pe likkhe mardon ke katbe paDha karo

    rakhte hain kya wo baston mein baste paDha karo

    likhte hain kya wo parchon mein parche paDha karo

    malum to ho miTTi ki daldal thi panw mein

    jo ho sake to buTon ke tasme paDha karo

    dukh dene ka jo socho kisi bhi aziz ko

    to phir qarib se sabhi rishte paDha karo

    ye na suno ki kya kya wo kahte rahe tumhein

    jo ho sake to logon ke lahje paDha karo

    chaDhte hain log phansi pe kis jurm ke tahat

    taKHti to paDh hi lete ho taKHte paDha karo

    jab bazi haarne lago to ghaur se zara

    shatranj pe bichhe hue mohre paDha karo

    socho kabhi talaq ka to is se beshtar

    shadi pe likhe beTon ke sehre paDha karo

    aankhen paDho ki in mein ye pani hai kis liye

    main ne ye kab kaha hai ki chehre paDha karo

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now