chehron pe zar-posh andhere phaile hain
chehroñ pe zar-posh andhere phaile haiñ
ab jiine ke Dhañg baḌe hī mahñge haiñ
hāthoñ meñ sūraj le kar kyuuñ phirte haiñ
is bastī meñ ab dīda-var kitne haiñ
qadroñ kī shab-rezī par hairānī kyuuñ
zehnoñ meñ ab kaale sūraj palte haiñ
har bhare jañgal kaT kar ab shahr hue
banjāre kī āñkhoñ meñ sannāTe haiñ
phūloñ vaale Taapū to ġharqāb hue
aag agle na.e jazīre ubhre haiñ
us ke bosīda-kapḌoñ par mat jaao
mast qalandar kī jholī meñ hiire haiñ
zikr karo ho mujh se kyā tuġhyānī kā
sāhil par hī apne rain basere haiñ
is vaadī kā to dastūr nirālā hai
phuul saroñ par kañkar patthar Dhote haiñ
'amabar' laakh savā pañkhī mausam aa.eñ
oloñ kī zad meñ anmol parinde haiñ
chehron pe zar-posh andhere phaile hain
ab jine ke Dhang baDe hi mahnge hain
hathon mein suraj le kar kyun phirte hain
is basti mein ab dida-war kitne hain
qadron ki shab-rezi par hairani kyun
zehnon mein ab kale suraj palte hain
har bhare jangal kaT kar ab shahr hue
banjare ki aankhon mein sannaTe hain
phulon wale Tapu to gharqab hue
aag agle nae jazire ubhre hain
us ke bosida-kapDon par mat jao
mast qalandar ki jholi mein hire hain
zikr karo ho mujh se kya tughyani ka
sahil par hi apne rain basere hain
is wadi ka to dastur nirala hai
phul saron par kankar patthar Dhote hain
'amabar' lakh sawa pankhi mausam aaen
olon ki zad mein anmol parinde hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.