chha gai soch ki ek be-kal ghaTa
chhā ga.ī soch kī ek be-kal ghaTā
dekh mausam ye shāyad hai barsāt kā
koī nazreñ bachā kar gayā paas se
koī nazreñ churā kar rahā dekhtā
raqs meñ thī ḳhayāloñ kī ik anjuman
jhanjhanāne lagī shoḳh dilkash fazā
gungunāne lagī husn kī be-ruḳhī
jab kisī kī vafāoñ kā charchā huā
raqs kartī rahīñ shoḳh tanhā.iyāñ
yaad kā ek mausam suhānā lagā
thā javāboñ talak ek lambā safar
ajnabī se savāloñ ne uljhā diyā
bīt.te mausamoñ kī adā.eñ liye
hādisa ek dil par guzartā gayā
phir na guzrī kabhī chain se zindagī
terī bechain nazroñ ne kyā kah diyā
chha gai soch ki ek be-kal ghaTa
dekh mausam ye shayad hai barsat ka
koi nazren bacha kar gaya pas se
koi nazren chura kar raha dekhta
raqs mein thi KHayalon ki ek anjuman
jhanjhanane lagi shoKH dilkash faza
gungunane lagi husn ki be-ruKHi
jab kisi ki wafaon ka charcha hua
raqs karti rahin shoKH tanhaiyan
yaad ka ek mausam suhana laga
tha jawabon talak ek lamba safar
ajnabi se sawalon ne uljha diya
bitte mausamon ki adaen liye
hadisa ek dil par guzarta gaya
phir na guzri kabhi chain se zindagi
teri bechain nazron ne kya kah diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.