chhanTi ke chaar log hain jin se kalam hai
chhāñTī ke chaar log haiñ jin se kalām hai
baaqī hasad-zadoñ ko namaste salām hai
jā buzdilā hameñ na dikhā dostoñ ke zaḳhm
ham vo faqīr haiñ jinheñ ġhībat harām hai
aañsū bhī ek dasht kī bai'at ko aa.e haiñ
vo dasht jis ke sabr kā dariyā ġhulām hai
al-qissa muḳhtasar ki mujhe niiñd aa ga.ī
mazdūr kā visāl abhī nā-tamām hai
achchhe nasab ke dushmanoñ kī ḳhair māñgiye
kāñTe na hoñ to phuul kā bhī kyā maqām hai
maiñ bhī ḳhudā se terī shikāyat lagā.ūñgā
aur ye ġharīb aadmī kā intiqām hai
miTTī jane charāġh hasad meñ hī jal mare
sūraj ko aaj raat bhī jugnū se kaam hai
chhanTi ke chaar log hain jin se kalam hai
baqi hasad-zadon ko namaste salam hai
ja buzdila hamein na dikha doston ke zaKHm
hum wo faqir hain jinhen ghibat haram hai
aansu bhi ek dasht ki bai'at ko aae hain
wo dasht jis ke sabr ka dariya ghulam hai
al-qissa muKHtasar ki mujhe nind aa gai
mazdur ka visal abhi na-tamam hai
achchhe nasab ke dushmanon ki KHair mangiye
kanTe na hon to phul ka bhi kya maqam hai
main bhi KHuda se teri shikayat lagaunga
aur ye gharib aadmi ka intiqam hai
miTTi jane charagh hasad mein hi jal mare
suraj ko aaj raat bhi jugnu se kaam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.