chhanw nahin shajar nahin
chhāñv nahīñ shajar nahīñ
aur tū ham-safar nahīñ
dil se dhuāñ uThā magar
raakh nahīñ sharar nahīñ
āTh-pahr udaas huuñ
shaam nahīñ sahar nahīñ
ye to maqām aur hai
dasht nahīñ ghar nahīñ
dekh lahū hai aañkh meñ
ashk nahīñ guhar nahīñ
aas kī shāḳh par kahīñ
barg nahīñ samar nahīñ
us ko ḳhabar hai mujh meñ kyā
aib nahīñ hunar nahīñ
chhanw nahin shajar nahin
aur tu ham-safar nahin
dil se dhuan uTha magar
rakh nahin sharar nahin
aaTh-pahr udas hun
sham nahin sahar nahin
ye to maqam aur hai
dasht nahin ghar nahin
dekh lahu hai aankh mein
ashk nahin guhar nahin
aas ki shaKH par kahin
barg nahin samar nahin
us ko KHabar hai mujh mein kya
aib nahin hunar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.